Ye Dil ke aawaaz hai, haar uss auart ki jiske pyaar ko mukamal hone se pehle hi maar diya gaya. Kyoki uske pyaar ka khhon laal to tha par uski jaat ka na tha..
Sabhi ko apni padhi hai...
mere to akheein num aur jaan jaane se lagi hai!!
ye baat uski hai,
jo meri zindagi ka hissa tha, jaisa bhi tha mera tha!!
who jo mera wajood tha, mera saathi tha
bada hi albalela aur saarpheera sa tha!!
kehtha tha tum laal raang mei bahut hassen lagti ho
par aaj khud laal rang ke khoon mei latpat padha hai!!
maar daala usse unhone jo mere thikadaar bante hai
who jo haq jaamate hai kyoki mai unka khoon hu!!
Shayad khoon ka karz khoon se hi chukna tha!
ye baat uski hai
jo meri zindagi ka hissa tha, jaisa bhi tha mera apna tha
Khuf muje iss baat ka nahi ki mera kya hoga,
mai to jee loongi uske pyaar ke sahare, uska balidaan ke sahare!!
Muje to daar iss baat ka hai ki aapka kya hoga
na samaaj aapka raha na beti!!
usko khoke bhi usko paa gayi mai baaba,
who ab dil mei nahi rhoon mei dhadhkta hai!!
Kyoki rooh dil rukne ke baad bhi saath nahi chodte baaba!
ye baat uski hai
jo meri zindagi ka hissa tha, jaisa bhi tha mera apna tha!!